MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Members Poetry Collections (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=130)
-   -   Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga. (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=63985)

raismehboob 08-02-2011 02:17 AM

Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
Her Pal Mein Rahoon Tumse Khafa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga...

Parhte Ho Jo tum Mujhe Namazoon Ki Tarha...
Ho Jaon Agar Tumse Qaza Tu Tumhe Kaisa Lage Ga....

Tum Pyar Mein Khud Ko Mitane Per Ho Raazi...
Ban Jaye Pyar Saza Tu Kaisa Lage Ga...

Khud Se Bhi Ziada Yakeen Ho Tume Kisi Per....
Wo Shaks hi Agar De Daga Tu kaisa Lage Ga....

raismehboob 08-02-2011 02:19 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Aik achay Dost ki misaal aik achi khushboo ki tarha hai..
Jab bhi tum usko yaad karo gay to tumhein us ki mehak Aaye gi…


Hazrat Ali (A.S)

raismehboob 08-02-2011 02:19 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Wafaa K Waday Wo Sare Bhola Gaya Chup Chap

Wo Mere Dil Ki Dewarein Hila Gaya Chup Chap

Gham-E-Hiyat K Tapte Hove Biyabaan Mein

Hame Wo Chorr K Tanha Chala Gaya Chup Chap

Na Jane Kon Sa Wo Bad-Naseeb Lamha Tha

Jo Gham Ki Aag Mein Mujh Ko Jala Gaya Chup Chap

raismehboob 08-02-2011 02:20 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Woh mere pass hai kya pass bulaaon us ko

Dil mein rehta hai kahan dhoondne jaaon us ko

Aaj phir pehli mulakaat se agaaz karon

Aaj phir duor se hi dekh ke aaon us ko

Chalna chahe to rakhe pauon mere seene par

Baithna chahe to aankhon pe baithaaon us ko

Mujhe maloom hai us ne juda hona hai

Lekan ik baar to seene se lagaaon us ko

raismehboob 08-02-2011 02:21 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Yeh zara zara si baat par tarha tarha ke azaab kyun
Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss khuda ki talaash hai

Mujhe laghzishon peh harr ghari koi tok-ta hai baar baar
Jisey kar ke dil ko dukh na ho, mujhe uss gunaah ki talaash hai

Main dhoondta hoon woh khizaan jisey gulshanon se pyaar ho
Jisey kisi charaagh se na bair ho, mujhe uss hawaa ki talaash hai

Mujhe uss nagar ki hai justuju jahan koi bhi chahata nahi lahoo
Jahan hirann ko sher se darr na ho mujhe uss jagah ki talaash hai

Yahan ik lamhey ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai

Bina humsafar ke kab talak koi musafiton mein laga rahe
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai

Mujhe dekh kar jo ik nazar mere saare dard samajh sakey
Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai

Pareevash 08-02-2011 02:25 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
achi poetry hai

raismehboob 08-02-2011 02:26 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Qurb Ke Na Wafa Ke Hote Hain
Sare Jhaghre ANA Ke Hote Hain

Wo Humare Hain Is Tarha Se FAIZ
Jaise Bande KHUDA Ke Hote Hain

Baat Niyaat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Sare DUA Ke Hote Hain

Bhool Jate Hain Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata Ke Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahein Lagte
Un Se RISHTE Bala Ke Hote Hain.

raismehboob 08-02-2011 02:29 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho

Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho

Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho

Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho

Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho

Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho

Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho

raismehboob 08-02-2011 02:32 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…"

raismehboob 08-02-2011 02:32 AM

Re: Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
 
Hum mohabbat ke talabgaar hue
Kaisey dhokey main giraftaar hue

Ahl-e-dil waqt ke rahber the kabhi
Ab magar waqt ki raftaar hue
...
Dil me jo baat bhi aayi keh di
Umr bhar hum na smajh-daar hue

Hum koi Yusuf-e-Kanaan na the
Yunhi ruswa sar-e-bazaar hue

Dard ki jins-e-giraaN leta kaun
Ik faqat hum hi khridaar hue

Zindagi maut ke pardey me rahi
Khwaab dar khwaab hi bedaar hai


All times are GMT +5. The time now is 10:11 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.