![]() |
raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
ham ne khush hoke bhanwar bandh liye paon mein un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talash bund tak bo na sake jo kabhi sahraon mein ai mere ham-safro tum bhi thake-hare ho dhup ki tum to milawat na karo chaon mein jo bhi ata hai batata hai naya koi ilaj bat na jaye tera bimar masihaon mein hausala kis mein hai yusuf ki kharidari ka ab to mahngai k charche hai zulaikhon mein jis barhaman ne kaha hai k ye sal acha hai us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein wo Khuda hai kisi tute hue dil mein hoga masjidon mein use dhundo na kalisaon mein ham ko apas mein muhabbat nahin karne dete ik yahi aib hai is shahar k danaon mein mujh se karte hain "Qateel" is liye kuch log hasad kyon mere sher hain maqbul hasinaon mein |
Re: raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
::V Nice::
|
Re: raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
thanks
|
Re: raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
WoOoow
Nice ...!! |
Re: raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
very good
|
All times are GMT +5. The time now is 10:09 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.