![]() |
Kaab Bin Aajrah Raziallah Anhu , farmatey hain
Kaab Bin Aajrah Raziallah Anhu , farmatey hain ke, Nabi Kareem Salallahu Alehi Wasallam ,ke paas se aik admi guzra ,Sahaba ,Rz, ne dekha ke wo rizq ke hosul main bara sergaram hai or puri dilchaspi le raha hai ,to hum ne Rasool Allah Sallalahu Alehi Wasallam se araz kiya ke ,Ae, Allah ke Rasool ! Sallalahu Alehi Wasallam , agar is ki daor dhup or dilchaspi Allah ki rah main hoti to kitna acha hota , is per Rasool Allah Salallahu Alehi Wasallam ne fermaya ke, ager wo apne chotey bachon ki pervarish ke liye bhag daor ker raha hai to ye Allah ki rah main hi shumaar hogi or ager apni zaat ke liye koshish ker raha hai to ye bhi fi sabil Allah shumar hogi , albata ager ye mehnat ziyadah maal hasil ker ke bertari jatane or logo ko dekhaney keliye hai to ye sari mehnat shaitan ki rah main shumar hogi , ( Targhib b hawala Tabrani ) |
Re: Kaab Bin Aajrah Raziallah Anhu , farmatey hain
nice sharing
|
Re: Kaab Bin Aajrah Raziallah Anhu , farmatey hain
Thanks.........
|
Re: Kaab Bin Aajrah Raziallah Anhu , farmatey hain
JazakAllah
|
All times are GMT +5. The time now is 10:53 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.