![]() |
-:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
-:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:- Wo dil kahaan say laaoon jo tujhay kahay alvida maah-e-siyaam Rab-e-qudooS hi to sirf jaanta hai asal mein tera muqaam Sabr-o-raza k qareenay tujh say hi sikhaaye gaye Teri tauqeer-o-hurmat say to munsalik nahi koi ibhaam Ajar bhi berhta hai teri her adaa hai adaa-e-naaz Or phir kahaan milay ga teray jaisa mujhay inaam Muattar hai teri saans mushk-e-tahoor say Allah Allah halat-e-roza mein mayassar jisay sujood-o-qayaam Usay husn-o-jamaal ki taab kahaan bashar mein ShihaaB Fazl-e-rabbi say mumkin hua khushiyon ka nuzool-o-ehtaymaam Alvida, alvida alvida a tohfa-e-rab-e-maah-e-siyaam Bashaarat-e-bahisht ka mumkin hua mominon ko payghaam |
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
Har taraf ranju gham ki fiza hai > mah-e-ramadan ki alvida hai
|
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
Zaberdast Reply Ayaz
Thankx For Visiting |
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
JazakALLAH very nyc
|
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
Bilkull Zabardastttt Words
|
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
jazakallah very nice sharing...
|
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
Tere Aane Se Dil Khush Hua Thaaa Aur Zoq E Iabadat Barha Thaaa
Aahh Abb Dil Pe Hai Gum Ka Galba Alwada Alwada Maah e Ramadan Bazm E Iftar Sajhti Thi Kaisi Khub Sehri Mein Ronq Bhi Hoti Ho Jaye Ga Aab Saman Soona Soona :( Tere Deewane Abb Ro Rahe Hein Gumzada Sab Ke Sab Ho Rahe Hein Kon De Ga Abb Inhe Dilasa AlWada Alwada Mah E Ramadan !!!!!!!! |
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
JazakAllah Khair For This Beautiful Thread.. :)
|
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
Thankx All :)
|
Re: -:||:- Alvida Maah-e-siyaaM -:||:-
Nice sharing
|
All times are GMT +5. The time now is 10:10 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.