![]() |
Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai.. Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai.. Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai.. Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai.. Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai..!! |
Re: Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
very nice
|
Re: Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
thanks...
|
Re: Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
V Nice
|
Re: Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
thanks :)
|
All times are GMT +5. The time now is 01:20 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.