![]() |
terey hontoo.n pe tabassum ki wo halki si lakeer
terey hontoo.n pe tabassum ki wo halki si lakeer
merey takhayyul main reh reh k jhalak jaati hay yoon achanak terey aariz ka khayyal aata hay jaise zulmaat main koi shamma bharak uth'ti hay terey pairahan-e rangee.n ki junoo.n khaiz mehek khwaab ban ban k merey zeh'n main lehraati hay raat ki sard khamoshi main har ik jhonkey sey terey anfaas , terey jism ki aanch aati hay main sulagtey howe raazoo.n ko ayaa.n tu kar doo.n lekin in raazoo.n ki tash'heer sey dar lagta hay raat k khwaab ujaley main bayaa.n tu kar doon in hansee.n khwaboo.n ki tabeer sey dar lagta hay teri sansoo.n ki thakan, teri nigahoo.n ka sokoot dar-haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho main jise piyaar ka undaaz samajh betha hoon wo tabassum, wo takallum teri aadat hi na ho sochta hoon k tujhey mil k main jis soch main hoon pehley us soch ka maqsoom samajh loon tu kahoo.n main terey sheh'r main unjaan hoon, pardesi hoon terey altaaf ka mafhoom samajh loon tu kahoo.n! kahee.m aisa na ho paoo.n merey tharra jain aur teri mar maree.n banhoo.n ka sahara na miley ash behtey rahain khamoosh siyah raatoo.n main aur terey raishmi anchal ka sahara na miley |
Re: terey hontoo.n pe tabassum ki wo halki si lakeer
Gud 1 ..
|
Re: terey hontoo.n pe tabassum ki wo halki si lakeer
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 04:37 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.