![]() |
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
Hama-waqt ranj-o malal kia, jo guzer gaya so guzer gaya
usay yaad ker ke na dil dukha, jo guzer gaya so guzer gaya Na gila kia, na khafa huye, yunhi raastay main juda huye na tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzer gaya so guzer gaya Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha zara dair ka koi khuab tha, jo guzer gaya so guzer gaya Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas ker tu khizan ka phool hai muskura, jo guzer gaya so guzer gaya Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chuka usay ab na day mere dil sada, jo guzer gaya so guzer gaya Yeh safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil hai kahan laut ker koi aaye ga, jo guzer gaya so guzer gaya Woh wafayain thi ke jafayain thin, yeh na soch kis ki khatayain thin woh tera hai us ko galay laga, jo guzer gaya so guzer gaya Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahi na malal ker mere saath aa, jo guzer gaya so guzer gaya... |
Re: Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
Very gud rose keep it up |
Re: Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
thanks no one
|
Re: Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
Zabardast..
|
Re: Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
thanks
|
Re: Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
very nice poetry
|
Re: Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
thanks happy
|
All times are GMT +5. The time now is 06:44 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.