| Hussain |
02-06-2009 09:21 PM |
-- titliyan jugnuu --
Titlian jugno sabhi ho gay magar daikhay ga kun
hum saja bhi lai gay agar dewar-o-dar daikhay ga kun
ab tu ham hai jagnay wale teri khatar yahan
hum na hongay tu teray sham-o-sahar daikhay ga kun
jis ki khatar hum sukhan sachae k rastay chalay
jub wohi us ko na daikhay tu hunar daikhay ga kun
sab nay apni apni aankhoon par naqabeen dal leen
ju likha hay shahr ki dewar par daikhay ga kun
bay sitara zindagi k ghar mai ab bhi raat ko
ek kiran teray khialoon ki magar daikhay ga kun...
|