![]() |
~~~~ Kuch Yadein Bithy Lamho Ki ~~~~
salam kia hall hy ap sub ka umeed hy ap sub khariat sy hn gy my apni koch yadin ap k sath share kerna chatha hn umeed hy ap ko pasand aye ga thxxxxxxxxxx http://www.meraforum.com/images/icons/letter.gif |
Dil Main Hota To kisi tor Nikal Bhi Jata Ab to Wo SHAKHS Buhut Door Talak Hy Mujh Main .. |
Pather bana diya mujhey rooney nahi diya Daman bhi terey gham ne bhigoney nahi diya Tenhaiyaan tumharra pata pouchti rahi Shab bhar tumhari yaad ne soney nahi diya Ankhoon mein aa k beth gayi ashkoon ki laher Palkoon pe koyi khuwab paroney nahi diya Dil ko tumharrey ansoo aziz they Duniya ka koyi dard samoney nahi diya Na sirf uss ki yaad chali haath thaam k Mailey mein iss jahaan k khoney nahi diya.. |
Aankhon main khuwab rakhna mumkin nahi raha ab Sach hai mera sambhalna mumkin nahi raha ab Jatay huwe thi us ki aankhon mein jo udaasi Woh keh rahi thi milna mumkin nahi raha ab Kis ko kahein mohabbat kis ko kahein wafa Yun aatebar karna mumkin nahi raha ab Thi tark-e-talluq ki ab ibtada zaroori Shayad k sath chalna mumkin nahi raha ab Ab intezar kyun hai dil beqarar kyun hai Us ka to lot aana mumkin nahi raha ab Hai her taraf andhera ruswaiyon ka dor hai Ghar se bahar nikalna mumkin nahi raha ab |
Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia, Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia. Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia, Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya, Janay kia usko mukh se thein shikayatein Tanhaiyon k des mein khud ko basa dia, Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya Mujh ko bhi itnay logon mein tanha bana dia.. |
Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa~ ~Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa~ ~Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya~ ~Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa~ ~Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye~ ~Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa~ ~Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzerh Gaye~ ~Ye Mery Seher Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa~ ~Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila~ ~Na Kisi Ke Chot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa~ ~Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa~ ~Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa~ ~Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila~ ~Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa~ ~Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon~ ~Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa~ ~Hameen Apny Gharh Sey Chaly Hoye, Sar Rah Umer Guzerr Gaye~ ~Na Safar Ka Haq Ada Hoa, Na Justajo Ka Sila Mila~ |
|
jabh seena ghum say bojhal ho aur yaad kisi ki ati ho tab kamre main band ho jana aur chupkay chupkay ro lena jabh ankhain baghi h o jaen aur yaad main meri bhar aen phir khud ko dhoka mat dena aur chupkay chupkay ro lena jabh palkain karb say mondi hon aur sabh samghte tum sote ho tab mun pay takia rakh lena aur chupkay chupkay ro lena ye duniya zalim duniya hai, ye baat bohat pehlai ghi tum samne sab kay chup rehna aur chupkay chupkay ro lena *jabh barish chehra dho dale aur ashk bhi bundain laGte hon woh lamha harghiz mat khona aur chupkay chupkay ro lena* |
Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hai. Ye dil apni hadoon mein reh kar itna toot jata hai. Mein roaoon to daro dewar mujh pey hansney lagtey hain. Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai. Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyoon sey. Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai. Merey khwaboon ki basti sey janazey uthtey jatey hain. Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai. Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari Zara si thees lagti hai zara sa toot jata hai Dil e nadan hamari to namo hi na muqamal thi To herat kya jo bantey hi irada toot jata hai Muqadar mein merey sagar shikast o rekhat itni hai Mein jis ko apna keh doon who sitara toot jata hai?????. |
http://www.hallagulla.com/urdu/photo...er_ki_bail.gif Miri tarah sar e mehfil...........uda as tha woh bhi Kisi nay haal jo poocha........tou ro diya woh bhi http://www.hallagulla.com/urdu/photo...er_ki_bail.gif Hawa e shaam ki.....jis say shikayatain ki theen Chiragh e baam e tamanna bujha gaya woh bhi http://www.hallagulla.com/urdu/photo...er_ki_bail.gif Khayal e taana e yaran.....na khauf e ruswa'ee Her ik safar mein....miray sath sath tha woh bhi http://www.hallagulla.com/urdu/photo...er_ki_bail.gif Naya naya tha hamain bhi....junoon perstish ka Bana huwa tha sar e anjuman...Khuda woh bhi http://www.hallagulla.com/urdu/photo...er_ki_bail.gif Hamain bhi ek hi mausam ka tha dimagh kahan Her ek ahd e wafa say......mukar gaya woh bhi http://www.hallagulla.com/urdu/photo...er_ki_bail.gif Rafaqatoon ka sila.....yeh bhi kum nahin Tishna Hamara naam jub aaya tou..huns para woh bhi http://www.hallagulla.com/urdu/photo...er_ki_bail.gif |
| All times are GMT +5. The time now is 06:44 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.