![]() |
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta |
Re: Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
wah wah wah bht khoob i Lyk wasi shah poetry awsum
|
Re: Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta Awsummm... |
Re: Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Buhat khoob
|
Re: Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 10:16 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.