![]() |
Halaat Kay Qadmoo Main Qalander Nahi Girta
Halaat Kay Qadmoo Main Qalander Nahi Girta
Totay Bhi Jo Taara Tu Zameen Per Nahi Girta Girtay Hain Samandar Main Baray Shouq Say Darya Lakin Kese Darya Main Samandar Nahi Girta Samjho Waha Phal-Daar Shajar Koee Nahi Hai Wo Sehan Keh Jis Main Koee Pather Nahi Girta Itna Tu Faida Howa Hai Barish Ke Kami Say Is Shaher Main Ab Koee Phisal Ka Nahi Girta Enaam Kay Lalach Main Thay Madah Kese Kay Itna Tu Kabhi Koee Sukhan-war Nahi Milta Hairan Hai Kaee Roz Say Thehra Howa Pani Talaab Main Ab Kyun Koee Kankar Nahi Girta Us Banda -e- Khud-dar Per Nabiyoon Ka Hai Saaya Jo Bhook Main Bhi Luqma -e- Tar Nahi Girta Karna Hai Jo Sar Maarka Zeest Tu Sun Lay Be Baazo -e- Mera Dar Khabar Nahi Karta Qaeem Hai Qateel Ab Yeh Meray Sar Kay Satoon Per Bhonchaal Bhi Aa Jaye Tu Mera Ghar Nahi Girta [ Qateel Shefaii ] |
Re: Halaat Kay Qadmoo Main Qalander Nahi Girta
so nice........
|
Re: Halaat Kay Qadmoo Main Qalander Nahi Girta
:blob_clap:
keep sharing. |
Re: Halaat Kay Qadmoo Main Qalander Nahi Girta
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 09:15 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.