![]() |
MauZoO -e- Sukhan
As Salam U Alaikum,Umeed Karta Hoon Ap Sab Log Bakhair O Afiyat Hongey....Aur Duaa Gau Hoon K ALLAH AP Ko apni Hifz O amaan Mien Rakhay.Yahan AIk Thread Shuru Kar Raha hoon...Jis Mien ShUaraa Hazraat K Muntakhib SHair Ap Log Likh Saktay Hien ,,,Issi Hissay K Pehlay Week k Shair Hien AmJad Islam AmjaD AmjaD Islaam Amjad WasSalam ,Khush Rahiya. |
Re: MauZoO -e- Sukhan
AmJad Islam Amjad
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din kya roz garajate ho baras jao kisi din |
Re: MauZoO -e- Sukhan
guzaren jo mere ghar se to ruk jayen sitare is tarah meri rat ko chamkao kisi din main apani har ik sans usi rat ko de dun sar rakh k mere sine pe so jao kisi din |
Re: MauZoO -e- Sukhan
nice thread
|
Re: MauZoO -e- Sukhan
:Brilliant: Thread Adii
keep continue! '' Kehnay ko us say mera koi waasta nahi Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi '' |
Re: MauZoO -e- Sukhan
Apni gali mein apnaa hi ghar dhhundhtee hain log
“Amjad” ye kaun shaher kaa naqshaa badal gayaa |
Re: MauZoO -e- Sukhan
Buhut Khuub Mahi Ji
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain |
Re: MauZoO -e- Sukhan
Khud charha rakhe the tan per ajnabiat k khilaaf Warna kab ik doosre ko hum ne pehchana na tha Raat bhar pichli hi ahat kaan mein ati rahi Jhaank kar dekha gali mein, koi bhi phirta na tha Ye sabhi verinyan uss k juda hone se thein Ankh dhundlai hui thi, shehar dhundlaya na tha |
Re: MauZoO -e- Sukhan
sitare jo damakate hain kisi ke chashm-e-hairan mein mulaqaten jo hoti hain jamal-e-abr-o-baran mein ye na abad vaqton mein dil-e-nashad mein hogi muhabbat ab nahi hogi ye kuch din bad mein hogi guzar jayenge jab ye din ye un ke yaad mein hogi |
Re: MauZoO -e- Sukhan
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle |
All times are GMT +5. The time now is 06:04 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.