![]() |
kyuun mere zehn pe raqsaaN hai jamaaloN ka hujuum...
kyuun mere zehn pe raqsaaN hai jamaaloN ka hujuum
yaani ek husn ke jaaN soz kamaaloN ka hujuum zindagi raqs nahiiN, saaz nahiiN, jaam nahiiN zindagi kaif-e-musalsal ka bas ek naam nahiiN Ghamza-e-dost nahiiN, ashva-e-gulfaam nahiiN zindagii shauq-e-faraavaaN hii ka inaam nahiiN phir ye kyuN shahr-e-tamanna meN bahaar aaii hai zikr-e-rukhsaar liye kyuuN shab-e-taar aaii hai kis liye maiN ne jalaaye haiN vafaaoN ke diye mangtaa huN maiN duaa waqt-e-sahar kiske liye dil ke Gham-khaane se har dam ye sadaa aatii hai kaaGhazi phuuloN se kab buu-e-wafaa aatii hai.... |
Re: kyuun mere zehn pe raqsaaN hai jamaaloN ka hujuum...
gr8 one
|
Re: kyuun mere zehn pe raqsaaN hai jamaaloN ka hujuum...
very nice poetry brother
|
Re: kyuun mere zehn pe raqsaaN hai jamaaloN ka hujuum...
V Nice..
|
All times are GMT +5. The time now is 01:07 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.