![]() |
Hum Logo ko Such Kehne ki Adat bhi Bohat Thi
Rasta bhi kathan, dhoop mein shiddat bhi bohat thi
saaye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi khaimay na koii mere musaafir ke jalaaye zakhmi tha bohat paoon musaafat bhi bohat thi sab dost mre muntazir-e-parda-e-shab the din mein to safar karne mein diqqat bhi bohat thi barish ki duaon mein nami ankh ki mil jaaye jazbe ki kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye aur kuch meri mitti mein baghaawat bhi bohat thi phoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin kuch is mein hawao ki siyasat bhi bohat thi is tark-e-rafaaqat pe pareshan to hoon lekin ab tak ke tere saath pe herat bhi bohat thi khush aye tujhe shehr-e-munaafiq ki ameeri hum logon ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi |
Re: Hum Logo ko Such Kehne ki Adat bhi Bohat Thi
is tark-e-rafaaqat pe pareshan to hoon lekin
ab tak ke tere saath pe herat bhi bohat thi Eik dum masoom si soach hey, jaise koi bacha apni Ammi se naraz bhi hota hey mager chalte hoy us ki ungli nhi chorta, Eik dum touchy lines hen, |
Re: Hum Logo ko Such Kehne ki Adat bhi Bohat Thi
Quote:
|
Re: Hum Logo ko Such Kehne ki Adat bhi Bohat Thi
Shaandaar Dukhi Bachiye :bshy:
|
Re: Hum Logo ko Such Kehne ki Adat bhi Bohat Thi
Quote:
|
Re: Hum Logo ko Such Kehne ki Adat bhi Bohat Thi
Quote:
Quote:
AWESOME POETRY Miss * * * * * stars for u to share this : ) |
Re: Hum Logo ko Such Kehne ki Adat bhi Bohat Thi
thanks so much Mahi
|
| All times are GMT +5. The time now is 02:46 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.