MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Miscellaneous/Mix Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=129)
-   -   Ishq (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=8372)

ShArArTi MuNdA 02-24-2009 09:29 AM

Ishq
 
Ishq
Maqam-e-ishq tak teri pohnchi nahi sawari
khudi aziz tujhay jaan tujhay hai piyari

dar-r-yar kia deedar-e-yar bi milta hai
ik shrt hai sidq-e-dil say talb-gaari

ishq kay bhaid sar-e-aam nahi khultay
jan jaey to jaey khulti nahi raaz-daari

shrbt-e-ishq say kabi piyas nahi bujhti
jaam piyo to aur berhti hai be-qarari

ishq hai khawahish nahi khawahish hai ishq nahi
khawahish ho ishq main to ishq sharm-saari

niralay rang hain ishq kay subha shaam
be-kli si din bhr , phr shb-bedaari

bazar-e-ishq main kis daam biko gay ****
ik meetha bol hai aur qeemat nahi hamari

ShArArTi MuNdA 02-24-2009 09:34 AM

Aey saarb hasratoN ke zara baat suntey jaana
jo choor choor ho pehley usey aur kya sataana!

ye taqdeer ki heiN chaaleiN ke badli hui hey bazi
jo mera chara'gar tha meiN usi ka hooN nishana

wo lamha jab sey meiN ney teri ulfat ka jaam khoya
chatkha huwa hey tab sey sochoN ka har pe'maana

abhi tamheed hi suni thi ke bilak ke ro parra wo
jo meiN kehney ja raha tha wo tha asal fasaana

hoNtoN pe kuch nahi hey, aaNsu-bhari heiN aaNkheiN
lagta hey aaj us ney seekha hey naya bahaana

jo agan tu ney di hey meiN usi meiN jal raha hooN
mujhey door hi sey takna merey paas ab na aana

ye udasiyoN ki raateiN chalo andherey meiN hi kaateiN
jo chiraagh bujh chukey heiN ab kya unhey jalaana

ye dhanak mohabbatoN ki merey paas ab na laao
jo rang bigarr gaey heiN unhey phir sey kya sajaana

ye be'rukhi ke nashtar to meiN kab sey seh raha hooN
is baar tum milo to koi zakhm naya lagaana!

ShArArTi MuNdA 02-24-2009 09:35 AM

Badi Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,
Zara Si Baat Par Toofan Uthana Us ki Aadat Hai,

Mohabbat Mein Bhi Wo Taza Ba-Taza Ka Hi Qail Hai,
Poori Chahaton Ko Bhool Jana Us ki Aadat Hai,

Zyada Garoor Bhi Achha Nahi Hai Aisi Baaton Par,
Kisika Naam Likh Likh Kar Mitana Us ki Aadat Hai,

Lagta Rehta Hai Koi Dilon Mein Aag Si Goya,
Hamesha Lakdiyan Geeli Jalana Us ki Aadat Hai,

Mohabbat Mein Wo Sanjeeda Hai Kitna Dekhte Rehna,
Mohabbat Har Kisise Yun Jatana Us ki Aadat Hai,

Shikayat Karne Aaye Ho To Itna Zehen Mein Rakhna,
Sabhi Baaton Ko Baaton Mein Udana Us ki Aadat Hai

ShArArTi MuNdA 02-24-2009 09:37 AM

Pathar tha magar barf k golon ki tarah tha
aik shaks andheron mein ujalon ki tarah tha

Khuwabon ki tarah tha na khialon ki tarah tha
Wo ilm-e-riyazi k sawalon ki tarah tha

Uljha hua aisa k kabhi na Hel ho paya
Sulja hua aesa k Misalon ki tarah tha

Wo mil to gia tha Magar apna he mukaddar
Shatranj ki uljhi hui chalon ki tarah tha

Wo rooh mein khusbo ki tarah ho gia tehleel
Jo door bohat chand k Haalon ki tarah tha

ShArArTi MuNdA 02-24-2009 09:38 AM

mansoob thay jo loog meri zindagi kay saath
aksar wohi milay hain bari bai rukhi kay sath

yun to main hans para hoon tumharay liay magar
kitnay sitaray toot paray hain aik hansi kay sath

fursat milay to apna giraban bhi daikh lay
aik dost yun na khail meri bay basi kay sath

majboorion ki baat chali hai to mai hai kahan
hum nay piay hai zehar aksar khushi kay sath

aik sajda khaloos ki qeemat qazai khalad
ya rab na mazaq kar meri zindgi kay sath

mohsin karam ki lay bi hoo jis main khaloos bhi
mujh ko ghazab ka piyar hai is ki dushmani kay sath

ShArArTi MuNdA 02-24-2009 09:38 AM

Hans Bol K Rukhsat Hona Hay
Phir Tanha Baith Ke Rona Hay

Din Yaad k Saya Daar Shajar
Shab Khabon Bhara Bichona Hay

Mujhy Ain Khizan Main Tere Liye
Phoolon Ka Haar Pirona Hay

Tere Pyar Ka Samra La Haasil
Pather main Beej Ka Bona Hay

Itna Dilgeer Ameer Na Ho
Ho Jaye Ga Jo Kuch Hona Hay

ShArArTi MuNdA 02-24-2009 09:39 AM

Thakan To Agllay Safar Ke Liye Bahanaa Tha
Usey To Yoo'n Bhi Kisii Aur Simt Janaa Tha

Wohi Chiraag Bhujha Jis Ki Loa Qayamat Thi
Ussi Pe Zarb Pa'rri Jo Shajar Puranaa Tha

Mataa-E-Jaan Kaa Badal Ik Pal Eak Sar-Shaari
Sulook Khwaab Kaa Aankhoo'n Se Taazirana Tha

Hawwa Ki Kaat Shigafoo'n Ne Jazb Kar Li Thi
Tab,hi To Lehja-E-Khushboo Bhi Jarihaana Tha

Wohi Firaaq Ki Baatai'n Wohi Hikayat-E-Wasl
Na-ii Kitaab Kaa Ik Ik Waraq Puraana Tha

Qabaa-E-Zard Nigaar-E-Khizaa'n Pe Sajti Thi
Tab'hi To Chaal Ka Andaaz Khusrowaana thaa

humaa 02-24-2009 01:00 PM

v v nice sharing

Nida-H 02-24-2009 01:01 PM

very nice sharing..

ShahTaJ 02-24-2009 07:12 PM

very nice


All times are GMT +5. The time now is 04:22 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.