![]() |
Usay Apnay Farda Ke Fikar Thi
Usay Apnay Farda Ke Fikar Thi, Wo Jo Mera Waqif -e- Haal Tha Wo Jo Us Ke Subha -e- Urooj Thi Wahi Mera Waqt -e- Zawaal Tha Kaha Jao Gaye Mujhay Chorr Kay Main Yeh Puch Puch Kay Thak Gia Wo Jawab Mujh Ko Na Day Saka Wo Tu Khud He Sarapa Sawal Tha Meri Baat Wo Kesay Manta Mera Dard Wo Kesay Janta Wo Tu Khud Fana Kay Safar Main Tha Usay Rokna Mahaal Tha Wo Jo Us Kay Samnay Aa Gia Wahi Roshni Main Naha Gia Ajab Us Ka Haibat -e- Ishq Tha, Ajab Us Ka Husan -e- Jamaal Tha Dam -e- Wapsi Aray Yeh Kia Howa Na Wo Roshni Na Wo Tazgi Wo Sitara Kesay Bikhar Gia Wo Jo Apni Misaaal Aap Tha Wo Mila Tu Sadyo Kay Baad Bhi Meray Lab Pay Koii Gila Na Tha Usay Meri Chup Nay Rula Dia Jisay Guftagoo Main Kamaal Tha Meray Sath Lag Kay Wo Ro Dia Mujhay Sirf Itna He Keh Saka Jisay Janta Tha Main Zindagi Wo Tu Mera Wham -o- Khayal Tha |
Simply Stunning Muna Jee,.
Kya Kehne Is Dard Ke, Pathar Bhi Pighal Jaye Padh Ke,. Keep Sharing Dear! |
very nce
|
very nice sharing..
|
Quote:
pasand kerney ka shukriya palkein jee |
Quote:
|
Quote:
|
very nice
|
Quote:
|
All times are GMT +5. The time now is 09:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.