![]() |
A Collection Of Meer Taqi Meer
A collection of a famous poet meer taqi meer a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan is butkade mein mani ka kis se karen sawal adam nahin surat-e-adam bahur hai yan ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan mere hilak karne ka gam hai abas tumhen tum shad zindagani karo gam bahut hai yan shayad ke kam subh tak apana khinchena 'Mir' ahawal aj sham se darham bahut hai yan |
Re: A Collection Of Meer Taqi Meer
arzuen hazar rakhte hain to bhi ham dil ko mar rakhte hain barq kam hausla hai ham bhi to dil ek beqarar rakhte hain gair hai murad-e-inayat hae ham bhi to tum se pyar rakhte hain na nigah na payam na wada nam ko ham bhi yar rakhte hain ham se khush zam-zama kahan yun to lab-o-lahja hazar rakhte hain chote dil k hain butan mashur bas yahi aitbar rakhte hain phir bhi karte hain "Mir" sahib ishq hain jawan ikhtiyar rakhte hain |
Re: A Collection Of Meer Taqi Meer
buhat khoob...
|
Re: A Collection Of Meer Taqi Meer
Thankshooooooo.com / life
|
All times are GMT +5. The time now is 12:20 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.