![]() |
Shaur apna hi jis ka
Shaur apna hi jis ka bahana sazi tha Wo merey jhoot pe khush tha na sach pe razi tha Tamam umer usi ke rahey yeh kai kam tha Bala se ishq haqeeqi na tha majazi tha Na tanz ker ke kayi bar keh chukka tujh se Wo meri pehli muhabat to mera mazi tha Na dost yaar, na naseh, na nama ber , na raqeeb Bala kashane muhabat se kon razi tha Yeh gul shuda si jo sham’main dikhaei daiti hain Huner in ankhon ke agey sitara sazi tha Addu ke samney hathhyaar dalney wala Koi Faraz sa kafir nahi tha , Ghazi tha |
itni mushkil shairi kubh sey kerna shoro ker di ek lafz palley nahi para...:OOPs:
|
Hahahaahah jao jaa kar dimagh ka elwaaj karwoo
uk mein dctr hein k nai |
All times are GMT +5. The time now is 04:52 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.