![]() |
Woh Kehti Thi Muhabbat Kuch Nahe Hoti
mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
hijr ka khauf be-matlab vasl k khawab be-maani koi soorat nigahon main kahan din raat rehti hay usay kyun khamoshi kahiye k jis main baat rehti hay yeh aansoo be-zuban aansoo bhala kia bol saktay hain kahan dil main kisi ki yaad se toofaan uthtay hain kahan palkon k saaye main nami din raat rehti hay kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hay mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti magar jab aaj barson baad main ne us ko dekha hay k us ki jheel aankhon main hijr ka khauf rehta hay vasl k khawab rehte hain wahan barsaat rehti hay yun lagta hay kayee raaton se woh soyee nahi shayad yun lagta hay kisi ki yaad ab din raat rehti hay or us ki narm palkon k haseen saye bhi geelay hain or us ki khamoshi aisi k jis main baat rehti hay mujhay ab woh nahi kehti mohabbat kuch nahi hoti keh ab shayad mohabbat ki woh sab ramzain samajhti hay.. |
beautiful poem
|
V Nyc..
|
Quote:
|
Quote:
|
Superb Sharing Ruby,.
|
hmmmm nice
thx4s |
ny
|
awsum
awsum n awsum... |
Quote:
|
All times are GMT +5. The time now is 04:47 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.