![]() |
Kaisaa??
hijr key mausam main, yeh barish ka barasna kaisa ! aik sehra sey samandar ka guzarna, kaisa ? aey meray dil na paraishaan ho, tanha ho kar! woh teray saath chala kab tha, bicharna kaisa? Jab shajar saath na de, haar samajh bethay toh ! zard pattoon ka hawaoon sey, ulajhna kaisa ? chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain ! pyar karna hai toh phir maut sey darna kaisa ? Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna aey dil ! us nay iqraar kia kab tha, mukarna kaisa ? |
very nice..
|
nicee
|
ty ruby
|
ty LiOn
|
| All times are GMT +5. The time now is 04:03 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.