Daman-e-Zabt Bhigo denay ko Jee Chahta Hai
Itni Tanhai hai K ro Denay ko Ji Chahta hai
Sans ki dour Slamat hai Abhi tak Shayad
Ab yeh Ahsaas B kho Denay ko ji Chahta Hai
Shakh-e-Gul Jab b Tahe Dast Nzar ati hai
Apna Dil us Main Piro Denay ko Ji chahta Hai
Aik Guman Musafir ki Tarha Chupkay Say
Khud ko is Bheer Main Kho Denay ko Jee Chahta hai
Ek Rida-e-Khak k Her Dukh Sau Dila Day gi Nijat
Khud ko Mitti Main Samo Denay ko Jee Chahta Hai
Tere Dil Main Meri Sanso Ko Panah Mil Jaey
Tere Ishq Main Meri Jaan Fana Ho Jaey