barish ki taez bundon ne
jab dastak di darwazay pr
mehsus hua tum aye ho
andaz tumharay jaisa tha,
hawaz k halkay jhonkay ki
jab ahat hoi khirki main
mehsus hua tum aye ho
andaz tumharay jaisa tha,
main tanha chali jab barish main
ik jhonkay ne mra saath diya
main smjhi tum aye ho
ehsaas tumharay jaisa tha
phir ruk gayi wo barish b
rahi na baqi ahat b
main smjhi tum chhor gaye
andaz tumharay jaisa tha