Zindagi kay Rastoo'n mai itni gard udhti hai
Fasalay say dekhai'n to kuch nazar nahi aata
Manzilo'n kay chehray bhi
Raah ki nishani bhi
Sub hi doob jatay hain
Gard kay samandar main...
Dard kay samandar main,,,
Raasta nahi milta
Faasla nahi ghat'ta
Jis jagah say niklay thay HUM safa kay raastoo'n par
Wahan pohunch kay dekhain to har taraf Udasi hai
Har taraf Andhaira hai
Kuch nazar nahi aata...
Be_nishaa'n raastoo'n mai
Wahamay to aatay hain
APNA ghar nahi aata