Aye khuda ye dunya kya hai
.
Samaj na saka hn ab tak
.
Insan to sb hain yan par insaniyat kya hai
Samaj na saka hn ab tk
.
Koshish to hai bant dn mohabbat is jahan main
Par ye nafrat cheez kya hai
Samaj na saka hn ab tk
.
Mujhay is tarah hassas to bana dya tu nay
Par is aalam ki wajah e bay rukhi kya hai samaj na saka hn ab tk.
.
Khayal to dil say kya hai yaron ka mainay
Par in main ye bay hisi kya hai
Samaj na saka hn ab tk.