|
|
|
Posts: 910
Country:
Join Date: Feb 2010
Gender:
|
|
|
waalaikum assalam
1. Kiya koi yah decide karsakta hai ke kisi ke kisi bhi amal ke peechey niyat kia hai mehez dikhawa ya koi behter maqsad ?
Possible or not
not decide par guess kiya ja sakta hay in case k agar aap aik ache face reader ho ya aapki six sense mostly sahi time pe alert karti hay lakin ye har baar sahi nhi hota iska sab se behtareen hal istakhara hay allah se mashwara kiya jaaey to faisla kabhi ghalat nhi ho sakta
2. Kia ek teacher ke ek sath class ko parhana ya sar e member kisi wayiz ka islaahi bayan deina in general aur muaashrey ki kharabio ka zikr karna ya sab sei barh kar allah ka poori insanyat ke lia ek general paigham deina sahi hai ya ghalt?
in some cases sahi hay sometimes ghalat hay (if u r talking about lecture in a co_education system) to us may aik saath nhi daina chahiye aik limit rehni chahiye har masla dono k saamne aik saath discuss nhi kiya ja sakta sharm_o_haya ko prefer karna chahiye hamesha
3. Kia ko act sirf is lia sahi hosakta hai ke majority wo perform karahi ho ? Kia sirf yahi ek criteria hai kisi bhi amal ke sahi ya ghalt honei ka ?
bilkul bhi nhi kisi bhi amal k karne se pehle daikhain hmare mazhab may kia kaha gya us k liye na k ye daikhey k ziada log kar rhe hain to main bhi kar lun(agar koi ghalat amal ho to ye wohi haal hay sab gunah kama rhe hain main q peeche rahun) waise bhi kisi bhi amal k darust hone ya ghalat hone may hmara zameer hi hamain forun agah kar daita hay ghalat kaam karte hue aik baar to zaroor alert karta hay hamain hmara zameer ab zameer ki aawaz se frar hone ki koshish ki jaaey to ye alag baat hay..
4. Agr me ek insan ka ko zakhmi karoo aur reason yah doo ke loge tou qatal bhi kartey hain tou yah reason kaisa hai ?
flop reason hay koi aur sochain
aap apne amal k zumedaar hain logon k nhi aap k amal ka jawab aapko daina hay logon ne nhi
5. Kia islam sirf us waqt implement hota hai jab hum masjid me dakhil hotey hain ya namaz ke lia kharey hotey hain ya phir 24 ghantey her amal me allah aur us ke rasool ke hukum ka khayal rakhna islam hai ?
i dun know k aap ne ye sawal poocha hay ya maashrey k mojooda halat logon k mojooda amal par tanqeed ki hay
islam zindagi k har kisam k har mamley may implement hota hay aur hamesha bext result issi ko follow karne may milta hay
masla ye hay k log short term planning kartey hain short term aur quick results daikh k chamak se attract hotey hain
long run may un k mojooda amal aur faislo k kia nuqsanat hain ye wo zahri chamak may daikh nhi paatey
islamic taleemat ko follow karain to saare raastey hamesha k liye hamwar ho jaatey hain
hope mujhey kuch guidance mil jaye gi
may allah show us the right path aameen
Last edited by fog; 08-22-2011 at 10:58 PM..
|