MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya
View Single Post
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading Ramzan - Kiya Khoya aur Kiya Paaya - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-27-2011, 12:40 PM

Dear Fellows

Assalam Alaikum


Ramzan taqreeban jaa chuka hai.. afsos ke hum is baar bhi haq ada nahi karsaktey aur mubarakbaad unko jinho ne apne zindagi ko tabdeel kia....

Ramzan imaan check karne ka guage hai...
Ramzan hamarei lia qabil e ahtraam hai kio ke is me Quran nazil hua. Mubarak hain so seeney jis me Quran kudh maujood hai. aur mubarak hain wo loge jo Quran ko parhtey hain. aur samjhtey hain.

Ramzan ne humei theik thaak exercise karwadi. change ajana chaiye...
ek mahiney health club jain kuch tou change aye ga
ek mhaine kuch bhi practice karein kuch change nazar lazman aye ga

matlab ek mahina ka taqwa zinadgi me change laaye ga.....


now compare

wo zindagi jo ramzan sei pahlei thi
aur ab jo zindagi hai ramzan ke baad


farq hai ?

hai tou mubarak ho . Ramzan sei kuch hasil kia
nahi hai tou imaan ki fikr karo ICU me dakhil hojao.


is mahinei
music haraam karli kudh per ... kudh sei ?
nahi na jantey huway ke Allah ko pasnd nahi

tou Allah ko baqi mahino me bhi pasnd nahi hoti


is mahinei nach gaaney filmein avoid ki
kio
kio ke allah ko pasnd nahi
Allah ko baqi mahinei pei aisey hi na pasnd hoti hain


is mahiney jhoot sei parhez kia
Allah ki waja sei
Allah baqi mahino me bhi hamara rab hai


zindagi badlo dosto yah tou Allah sei drama hai jhoot hai ek mahinei aur
chand nazar aya tou saaarei bandhan sei azaad hogaya insaan


Allah ne khushi di aur manaai kaisey
naach kar
gaaa naa gaa kar
us ko hi naraz karkei
us ki lanat samait kar
aisey ahsan faramosh tou nahi na hum


ek thapppar aap apne dost ko marein
kia hoga
thori si larai bus khatam

ek kisi police officer ko mardein
kia hoga
qaid aur pitaai sahi walei

ek president ko mardein
kia hoga
phansi

matlab jurm ek per shaksiyat ki noyat ke hisaab sei sazain change


ek jhoot aap kudh sei bolein aaps me bolein
theik hai gunnah hai ghalt hai

ek jhoot hum Allah sei boltey hain roze
kia saza hona chaiye


kaha boltey hain ?

soorah e fatiha namaz me parhtey hain
akhir me kahtey hain us ke rastey pe chala jin pe inaam hai aur unke rastey pe nahi jo eesai hai aur yahoodi hain.


inaam walo ke rastey pata haina ?
koshish ki chalne ki
hum ne kabhi nahi ki


aur eesaaio ke rasto sei bacha
jabke libaas unka
hair style unka
fashion trends unke

andaz e tijarat yahoodi ka
paisa kamaney ki hawis unki


yah jhoot Allah sei kaisa
wo nahi janta ????
dilo ka haal behshak sirf Allah janta hai



badlein kudh ko is sei pahlei ke mohlat khatam hojaye...


koi kehsakta hai for sure ek wo aglei ramzan me hoga
zinda?
KOI ek yah kahsakei ke wo even aglei 6 mahinei zinda rahey ga for sure
1 mnahina
15 din
10
hmmmm


itni uncertainity aur itni sarkashi......



insan bhi kitna bewakoof haina ke apne sei taqatwar sei larta hai hamehsa....





so ramzan ko ghaneemat janein in 2 3 dino ko hi
Allah intizar karha hai
ke merei bandey dils ei tauba karein
wapis na lautnei ka wada karein un rasto per


me maaf karooga
me bataoon phir kaisey Allah haami o nasir hai


Allah mujhey mujhey mujhey hidayat dei unsab ke tufail jinho ne Allah ko razi karne ke lia rozey rakhey aur naik amal kiye

aur Allah hum sab ko hidayat dei. Ameen

 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links