Ma apnay uljhay huy halat se nahi
Apni bikhri hui zaat se preshan hun
Ma logun ki sazishun se nahi
Apni chup rehne ki adat se preshan hun
Meri manzil kahan hai hai kon sa mera rasta
Is Aapni hi kshmakshi se preshan hun
Ma zindagi ki haqeqat se na ashna to nahi mgr
apnay masoom jazbaat se preshan hun
Kisi ko andhere main chorr kar apni rah main ma roshni nahi chahti
Kisi k totay huy khawbun se preshan hun
Mujhe ghamun main muskurane ka hunr maloom hai par
Meri ankhein na bta dein kahani meri es baat se preshan hun
Meri misaal to hawa k rukh pa rakhe chiragh ki tarha hai
Jise mamooli sa hawa ka jhonka bujha da
kase laun apnay andr jeene ka hosla esi baat se preshan hun
[SIGPIC][/SIGPIC]
Har Taraf Raah Main Thay Kaanty Bichay Huay…..
Mujh Ko Teri Talab Thi, Guzarte Chale Gaye…..
Shaiwa-e-ishq jurat-e-guftaar ka paband hai lakin
Jo lafzon main bayan ho hum aisi mohabat nahi kerty