MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Intizar kernay walay
View Single Post
(#1)
Old
ROSE ROSE is offline
 


Posts: 52,341
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender: Female
Default Intizar kernay walay - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   11-14-2011, 06:11 PM

INTIZAR KERNAY WALAY
intikhab"ashfaq ahmad kii safer der safer say"
main nay intizar kernay walon ko dekha.intizar kertay kertay so janay walon ko bhii aur mer janay walon ko bhii.main nay muztarib nigahon aur be-chain badanon ko dekha hay.aahat per lagay huey kaanon k zakhmon ko dekha hay.intizar mein kaanptay huey haathon ko dekha hay.muntazir aadmii k 2 wujood hotay hain.ek wo jo jaga -e-muqarrera per intizar kerta hay, doosra wo jo jasd-e-khaakii say juda hoker pazeeraaee k liyey bohat duur nikal jata hay. jab intizar kii gheryaan dinon,maheenon,aur saalon per phail jatii hain to kabhi kabhii doosra wujood wapis nahein aata aur intizar kernay walay ka wujood uss khalii dabbay kii tarah reh jata hay, jisay log khoobsoorat samajh ker sent k rakh letay hain aur kabhii apnay dermiyaan say juda nahein kertay.ye khaalii dabba kaee baar bherta hay.qisam qisam kii cheezein apnay ander samet,taa hay lekinn uiss mein "wo"laut ker nahein aata, jo pazeeraee k liyey aagay nikal gaya thaa.esay log baray mut,ma,inn aur pooray shanat ho jatay hain.inn mut,ma,inn, purr-sukoon aur shant logon kii personality per bara charm hota hay aur inhein apnii baaqi-maanda zindagii isii charm k saharay guzarnii pertii hay.yehii charm aapko soofiyaa kii shakhsiyyaton mein nazer aaeyga.yehii charm umr-qediyon k chehray per dikhaee dega aur isii chrm kii jhalak aapko umr-raseeda professeron kii aankhon mein nazer aeyga.

 






Kabhi zindagi me kisik liay mut rona**
q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga''
or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''*****
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links