'' Takhallus '' per mabnee Aash'aar
Jagaa-e-Fan mein barhay sakht Muqaam aate hain
Mar ke rah jaataa hai Fanakaar Amar hone tak
Kitany '' Ghaalib '' thy jo paidaa huye aur mar bhi gaye
Qadradaan ko Takhallus ki Khabar hone tak
Kitany '' Iqabaal ''Raah-e-Fiker mein uthe lekin
Raastaa bhuul gaye Khatm-e-Safar hone tak
Kitane Shabbiir hasan khan na bane '' Josh '' kabhi
Mar gaye kitany Sikander bhi '' Jigar '' hone tak
'' Faiz '' rang bhi Ashaar mein aa sakataa thaa
Ungaliyaan saath to dein Khoon mein tar hone tak
Chand zarron hi ko milati hai Ziyaa-e-Khurshiid
Chand taare hi chamakate hain Sahar hone tak
Dil-e-Shaayar pe kuchh aisi he guzarati hai '' Figaar ''
Jo kisi Qatare pe guzare hai Gouhar hone tak ! ! !
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے
ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری
.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨
¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥ ´¨ `♥•.
M A H ¡
..•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*.....`·.¸.·´* (¨`·.·´¨¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥• .¸¸.•♥´¨`♥•