Zindagi ke Mailey main . . .
Khwaahishoun ke Railey main
Tum se kia kahain Jaanaan
is qadar Jhamailey main
Waqt ki Rawaani hai
Bakht ki Giraani hai
Sakht Be-Zameeni hai
Sakht Laa-Makaani hai
Hijr ke Samandar main
Takht or Takhtey ki
ek hi Kahaani hai
Tum ko jo Sunaani hai
Baat go Zara si hay
Baat Umer bhar ki hai
Umer bhar ki Baatain kab
Do Gharree main hoti hain
Dard ke Samandar main
An-Ginat Jazeerey hain
Be-Shumaar Moti hain
Aankh ke Dareechey main
Tum ne jo Sajaaya tha
Baat us Diye ki hay
Baat us Giley ki hay
jo Lahoo ki Khilwat main
Chor ban ke aata hay
Lafz ki Faseeloun par
Toot Toot jaata hai
Zindagi se lambi hai
Baat Rat-jJagey ki hai
Raastey main kaisey ho
Baat Takhliyey ki hai
Takhliyey ki Baatoun main
Guftugoo Izaafi hai
"PYAAR KARNE WAALON KO
..EK NIGAAH KAFI HAi!!"
ho sakey to Sun jaao
Ek Din Akeley main
Tum se kiya kahain Jaanaa'n
is Qadar Jhamailey main . . .
[right]Poet: Amjad Islam Amjad
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے
ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری
.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨
¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥ ´¨ `♥•.
M A H ¡
..•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*.....`·.¸.·´* (¨`·.·´¨¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥• .¸¸.•♥´¨`♥•