MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - *~*mohabat*~*
Thread: *~*mohabat*~*
View Single Post
(#1)
Old
anabia anabia is offline
 


Posts: 1,934
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jul 2011
Location: Karachi
Gender: Female
Default *~*mohabat*~* - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   03-20-2012, 11:12 PM


‎''Aaj aur Ek Mohabbat Anjam Pagayi''
Dukh Ka Ehsas Lamha Be Lamha Gehra Hota Ja raha Hai..Najane q Her Mohabbat Kerne wale Chere Mai Mujhe Apna Chera Nazar Ata Hai..
Najane q Her Mohabbat Kerne wale Ke Naseeb Mai ''Dukh'' Likhe Hote Hai..Aziyatou Ki Ibarat Q Raqm Hoti Hai..?Anssoo Q Chupe Hote Hai..?Her Mohabbat Ka Anjam '' Judayi'' aur ''Hijr'' Q Hota Hai.....??

Mohabbat Ke Naseeb Mai ''Vasl'' Ki Ghadiyan Sirf Naseeb walou Ko Milti Hai..Aur Jinhoune Vasl Ki Lazzat aur Lutf Ko Paa Liya Woh Mohabbat Ki Chashni aur Thandak se Rooh Tak Sershar Hogaye..,Mohabbat Rooh Mai Uter Jane ka Hi To Naam Hai...aur Mohabbat Mar Mar ker Jiye Jane ka Hi To Naam Hai...

Phir Bhi Najane ye ''MOHABBAT'' HAI KYA chiz..pata Nahi kitne roop Badal ker Chali Ati Hai..Kabhi Kabhi To ye Bharoop Ka Chadar Orh Leti Hai..,aur Her Rung Mai JalwaGer Hone Lagti Hai..
Kabhi Chand Ki Thandak Ki Tarah Narmi Bakshti Hai..To Kabhi Suraj Ka Roop Dha Ker Tapish Ugalti Hai..
Kabhi ''Junoon'' ki Shakal Mai Nazar Ati Hai To..Kabhi Khamoshi Ke Bagal Mai Hamesha DupkiRehti Hai..
Kabhi Mehfilien Bakshti Hai To Kabhi Tanhayiyou Ke Hawale Ker Deti Hai..
Kabhi Khushi Nawazti Hai To Kabhi Ansoo Dan Ker Dti Hai..
Kabhi Shikasta Deewar Banadeti To Kabhi Himmat,Hosle,sabr aur Shukr Ka sabaq Padhati Hai..
Kya Hai ye Mohabbat..

Mere Liye Mohabbat ke Is Uljhe Huwe Resham ko samajhna Kaha Aasan Hai..,ye Mohabbat Ka Resham Ulajhne Lagta Hai To suljhana Bhi kaha asan Hai........?????????

 






نیلگوں فضاؤں میں
شور ہے بپا دل میں
شدتوں کے موسم کی
چاہتیں سوا دل میں
حبس ہے بھرا دل میں
میں اداس گلیوں کی
اک اداس باسی ہوں
بادلوں کے پردے سے
واہموں کو ڈھکتی ہوں
خوشبوئیں گلابوں کے جسم سے نکلتی ہیں
روشنی کی امیدیں کونپلوں پہ چلتی ہیں
پھر بہار آنے سے پہلے ٹوٹ جاتی ہیں
چوڑیاں بھی ہاتھوں میں ٹوٹ پھوٹ جاتی ہیں
جسم کے شگوفوں میں رنگ چھوڑ جاتی ہیں
بس سنہرے لہجےکی
روشنی ہے لو جیسی
ہونٹ سے پرے دل میں
کام کی دعا ایسی
کس کو یہ خبر لیکن
اِس سنہرے لہجے میں
کھارے کھارے پانی سا
بدگمانیوں سے پُر
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links