MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
View Single Post
(#1)
Old
DrEaMBoY DrEaMBoY is offline
 


Posts: 680
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Mar 2012
Location: LaHoRE
Gender: Male
gb mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   03-29-2012, 03:25 PM

mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna

jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna....

 



u R my HeArT & SouL!!
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links