|
|
Posts: 1,281
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2012
Gender:
|
|
Karachi jnab Faiz sahab ki nazar main ....
YahaN se sheher ko dekho to halqa-dar-halqa
Khinchi hai jail ki soorat har ek faseel
Har ek rahguzar gardish-e-aseeraaN hai
Na sung-e-meel, na manzil, na mukhlisi ki sabeel
Jo koi tez chaley rah to poochta hai Khayal
Ke tokne koi lalkaar kyuN naheeN aayee
Jo koi haath hilaye to Wahem ko hai sawal
Koi chanak, koi jhankaar kyuN nahiN aayee?
YahaN se shehr ko dekho to saari khalqat meiN
Na koi sahab-e-tamkeen, na koi wali-e-hosh
Har ek mard-e-jawaN mujrim rasn ba gulu
Har ek haseena-e-raana, Kaneez-e-halqa bagosh
Jo sayay duur chiraghoN ke gird larzaaN haiN
Na janey mehfil-e-ghum hai ke bazm-e-jaam-o-saboo
Jo rung har dar-o-deewar par pareshaaN haiN
YahaN se kuch naheen khulta yeh phool haiN ke LahU
Last edited by Shaolin; 05-23-2012 at 12:58 AM..
|