|
|
Posts: 27,062
Country:
Join Date: Dec 2010
Location: Lahore
Gender:
|
|
Main sochta hoon
Likha hy jo kuch' parrha hy jo kuch' woh kis liye tha?
Kahan sy puchoon?
Woh kis liye hy? Kisy bataoon?
Mujhey aqeedon ky khawab dey kr kaha gaya inn myn roshani hy
Chamakti qadroon ki chhab dikha kr mujhey bataya' ye zindagi hy
Sikhaye mujh ko kamal aesy
Yaqeen na layn sikhany waly ager unheen ko main ja sounaoon
Mein kohna aankhon ki dastares myn naye manazir kahan sy laoon
Kahan ye Jins'e'kamal rakhoon, kheyal taza kahan sajaon
Zameen paon taley nahi hy to kesey taaron ki simt jaoon
Purani qadryn jo mohtaram hyn
Unhyn sanbhaloon ya aany waly naye aqeedoon ka bhaid paoon
Woh sb aqeedey,Tamam qadrein, Kheyal sary
Jo mujh ko sikky bana ky bakhshy gaye
Merey hawas-e-khamsa sy motaber thy
Jab unn ko rahber bana ky nikla
To main ny dekha
K merey haathoon myn kuch nahi hy
Main aesy bazar myn kharra hoon
Jahan currency badal chuki Hy
|