Boht dino se
wo shaakh-e-mehtaab kut chuki hai k
jis pe tum ne girft-e-wada ki reshmi shaal k
sitaray saja diye thay
Boht dino se
wo gard-e-hsaas chhat chuki hai
k jis k zarron pe tum ne
palkon ki jhalaron k tamaam neelam luta diye thay
Aur ab to yun hai k jaisay
lab basta hijraton ka har ik lmha
taveel sadion ko aurh kr saans le lraha hai
Aur ab to yun hai k jaisay
pahaarh raaton ko
meri andhi ujaarh ankhon main
reza reza basa diya hai
K jaisay main ne
figaar dil ka hunar asasa
kahin chupa kr bhula diya hai
Aur ab to yun hai k
apni ankhon pe hath rakh kr
meray badan pr sajay huway aablon se behta lahu na dekho
(mujay kabi surkharu na dekhao)
na meri yaadon k jltya bujtay nishaan kuredo!
namray maqtal ki khaak dekho
Aur ab to yun hai k
apni ankhon k khawab
apnay dareeda daman k chal dekho!
k gard-e-ehsaas chhat chuki hai
k shahk-e-mehtaab kut chuki hai!!!
(MOHSIN NAQVI)