Ab yaad delaye kaun tumhain
Yeh saal bhi aakhir beet gaye
Aur apna bhi koi dosh nahi
Yeh bazi bhi jag jeet gaya
Woh sard hawain ab bhi hain
Rangeen fizayen ab bhi hain
Woh bheegai bheegai pani ki
Pur-shor sadaian ab bhi hain
Mai abb bhi udhar ko jati hun
Aur dil apna sulgati hun
Ab tum nahi hote sath mere
Hotai hain khali hath mere
Pur-shor sadaian poochti hain
Woh sard hawaian pochti hain
Woh kahan gaya sathi tera
Kya phir yeh zamana jeet gaya..???
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na