|
|
|
Posts: 4,209
Country:
Star Sign:
Join Date: Jun 2013
Location: ●♥ღ ÐязαmℓάиÐ ღ♥●
Gender:
|
|
|
jahan nazr e muhammad ka nishana tehar jata hai
wahan apna to apna hai begana tehar jata hai
.
Gawahi day rahin hain masjid e nabwi ki deewarain
nawasa ho jo kaandhon pay to nana tehar jata hai
.
Nabi kay baad jo mahfil main zikr e chaar yaar aiy
nabi kay chaar yaroon ka yarana tehar jata hai
.
Shab e mayraaj aqaa baith jain jab sawari par
to phir wapas palatnay takzamana tehar jata hai
.
Chala lay kar azam ghar say nubuat ko mita doonga
pari nazr e muhammad jab deewana tehar jata hai
.
Khush aa qismat abubakr o umar ki hashar tak unka
nabi kay sath rozay main thikana tehar jata hai
.
Yazeediat utha layti hai sar batil ki soorat main
to karbal main muhammad ka gharana tehar jata hai
|