|
|
|
Posts: 1,687
Country:
Join Date: Mar 2014
Gender:
|
|
|
MaiN jab bhi Khushboo ki baat kerta houN
woh merii saadgii pe hanste haiN
Log aise bhii bastiyouN maiN baste haiN
Ju khoushii ke her pal maiN bhii
aansoo pelkouN pe rakhte haiN
Ju hanste hanste rone lagte haiN
log aise bhi bastiyouN maiN baste haiN
JinhaiN dukh raas aate haiN
ke jin ke paaouN
mermareeN ghaleechouN pe
chalne se jalne lagte haiN
baharouN kii bataiN ab kia sunaaouN tum ko
ke kaisa bhi mosam ho
phool murjhaa hii jaate haiN
aur phool murjhaane se pehle
kantouN ke damen maiN, sir rakhte haiN
log aise bhii bastiyouN maiN baste haiN
khushyouN se graiz paa ho ker
dukh ke damen se lipt lipt jate haiN
aur ham shehnaaiiyouN kii gonj se larzaaN
dukh kii bansrii bajate rehte haiN
aur wo
merii saadgi pe hanste haiN
Last edited by waheed ahmed; 08-06-2014 at 03:43 AM..
|