|
Hazaaron larkiyaan aisi ke har larki pe dam niklay
bohat niklay haseen sarkon pe, lekin phir bhi kam niklay
Bharam khul jaye ga un sab ke qaamat ki daraazi ka
jo un ki "set-shuda" zulfon ka kuch bhi kham niklay
Mili aazaad nazmon ki tarah un ko bhi aazaadi
woh aazaadi ke jis ko dekh ker shaair ka dam niklay
Koii hai jo aa ke in sab ke address ham ko likhwa de
koii shaam aur ghar se jaib mein rakh ker qalam niklay
Gharon se woh nikal aayee hein "TaTa" keh ke parday ko
ke gar niklay to sab ushaaq ka sarkon pe dam niklay
Gaya ahed-e-kohun aur shaairon ki aaj ban aayee
jo "azraaye sitam" chaptay thay "az rah-e-karam" niklay
Chalay aaye idher ham bhi jawaani ka alam le ker
ke jin sarkon pe jeetay hein unheen sarkon pe dam niklay
Nikalna noukaron ka ghar se suntay aaye hein lekin
bohat be-aabroo ho ker teri kothii se ham niklay
Teray kuttay bhi saaray sheher mein itraatay phirtay hein
kabhi bhi teri kothii se nahin woh "sar-ba-kham" niklay
Kahan mae-khanay ka darwaaza Ghalib aur kahan Salma
per itna jaantay hein ham, woh aati thi ke ham niklay....
|