usay main nay hi likha tha
k lahjay barf ho jain to pighla nahin kartay
parinday dar k ur jain tu lauta nahin kartay
usay main nay hi likha tha
yakin uth jay to shayad kabhi wapis nahin ata
hawaon ka koi tufan kabhi barish nahin lata
usay main nay hi likha tha
k sheesha toot jay to kabhi phir jurr nahin pata
jo rastay say bhatak jay wo wapis murr nahin pata
usay kahna woh adhora khat
usay main nay hi likha tha
usay kahna deewany mukkammal khat nahin likhtay
.
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain