taweel na sahi agarcha buhat hi mukhtasar hoga
teray dil ki kitab mei kahin toh mera zikar hoga
meri kahani mera unwan meri dastan ho tum
tu toh mojood har hurf har panay mei har dagar hoga
tum pao gay itni khushyan k gum ho jao gay khud mei
meri manaton meri duanon meri wafaon mei itna assar hoga
dhondtay phiray gay hum inhe rahoon mei tujhay
jin rahoon say aksar meray humdam tera guzar hoga
teray bina bhi jee lyn gay mar mar k hum
magar kho daynay ka gham umar bhar hoga
teray doston mei na sahi teray na chahnay walo ki fahrist
mei kahin to darj mera naam magar hoga
taweel na sahi buhat mukhtasar hoga
teri dil ki kitab mei kahin toh mera zikar hoga"
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...