Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
KaSh Seerat Aap ki Itni Pyari na hoti
KaSh App se Mulaqat Hamari na hoti
KaSh Tumhin Sapnon hi main dekh lete
Aaj Mulaqat ko itni Byqarari na hoti
Hamara har lamha chura liya ap ne
Aankhon ko ik chand dikha dia ap ne
hamin zindagi tu di kisi our ne
par itna pyar de kar jeena sikha dia ap ne
Chiragon ko our teiz kar do
kyun ki roshni buhat kam ha
our main tamam omar tera intezar kar loun ga
phir bi ye gham rehe ga ki Zindagi kam ha
Hamare zakhmon ki waja bi wo ha
Hamare zakhmon ki Dawa bi wo ha
Wo namak zakmon pe lagaye tu kya howa
Muhabbat karne ki waja bi wo ha
Tum khafa ho gaye tu koi khushi na rahe gi
Tere bina chiragon mein roshni na rahe gi
Kya kahe kya guzre gi dil par
Zinda tu rahin ge par zindagi na rahe gi
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|