Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Wo kal aane ki kasmin kha reha ha aaj
ke phir muje Umeedon se behla reha ha aaj
use howi na tasali mere khat ko phar kar
wo mere khat ke tukde bi jala reha ha aaj
khada ha deewangi ki had pe tera deewana
dekh diye jala jala ke bhoja reha ha aaj
koun ro reha ha sar lega ke meri kabar se?
ye kaun muj ko soote se jaga reha ha aaj?
jo khabi chalta tha meri ungli ko pakad kar
wohi shaks muje raste dikhaa reha ha aaj
pehle "aap" phir "tum" phir "tum" se "tu" howa
wo muje "tu" se bi neche ghira reha ha aaj
jab nazar aye .Ahdure. ki koyi dard bhari ghazal
samajh lena wo phir Aanso baha reha ha aaj
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|