MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Kya ab bi koi Aahat youn satati ha tumhin?
View Single Post
(#1)
Old
~ Bikhre Lamhe ~ ~ Bikhre Lamhe ~ is offline
Koi Tu Ho
 


Posts: 7,158
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender: Male
Unhappy Kya ab bi koi Aahat youn satati ha tumhin? - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   05-16-2009, 08:06 PM











Kya ab bi meri jhalak khwaab main nazar aati ha tumhin
Kya meri har yaad ab bi raat bhar jagati ha tumhe

Har andhera tumhin muj tak kheench lata tha
Kya ab bi koi roshni is terah bulati ha tumhin

Mera har raaz tumhin hawa hi bata jati thi
Kya ab bi khushbu mere paigham sunati ha tumhin

Meri taqlif par wo aankh main aansu aa jana
Kya ab bi meri koi baat rolati ha tumhin

Tumhara har jazba, tumhari aankh muj se keh deti
Kya ab bi wo kuch na keh kar har baat batati ha tumhin

Har awaz pe tumhin mere aane ka hota tha gumaan
Kya ab bi koi Aahat youn satati ha tumhin?

 






Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan

~ Bikhre Lamhe ~
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links