Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Jab bichar kar tere is Dil se chala jayon ga
Dil ko sene main na payo gi tu yaad Aayon ga
Aayon ga chupke se khwabon mein jo tere aksar
phir jo sote mein hi has do gi tu yaad Aayon ga
meri maasom Muhobbat ko bhola kar jab tum
phir kisi our ko chaho gi tu yaad Aayon ga
doston ki kisi mehfil mein baaton baaton mein
jab kisi baat pe rotho gi tu yaad Aayon ga
meri tasveer ko Aankhon mein chupane k liye
apne Aashkon se mitayo gi tu yaad Aayon ga
raat sannate mein kamre ki khuli khirki se
hanste ek chand ko dekho gi tu yaad Aayon ga
khak se lipti kitabon k har ek kaghaz par
naam likha mera dekho gi tu yaad Aayon ga
ab jo har ek khushi muj ko sunane k liye
door tak muj ko na payo gi tu yaad Aayon ga
neele kapre jo pehan kar tum khule baalon ko
khud hi hathon se sanwaro gi tu yaad Aayon ga
yaad karte howe ye sans jo toote gi meri
phir meri Qabar pa Aao gi tu yaad Aayon ga
Tere hi naam se likhta tha main sari ghazal
ab jo parhte howe ro do gi tu yaad Aayon ga
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|