 |
|
|
Posts: 19,769
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2008
Location: lahore
Gender:
|
|
Vo to khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa
ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jaayegaa
kyaa khabar thii ke rag-e-jaa.n me.n utar jaayegaa
vo havaao.n kii tarah khaanaa_bajaa.n phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa
vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aa.ngan me.n thahar jaayegaa
aakhirash vo bhii kahii.n ret pe baithii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa
[SIGPIC][/SIGPIC]
×÷·.·´¯`·)» ÂLØÑÈ (3Õ¥ «(·´¯`·.·÷×
|