Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Door Ufaq ki Tareki mein
Bijli Jab Bi Lehrati ha
Shama Jalate Lamhe Aksar
Kamre ke Ghup Andhere mein
Pehli Muhabbat Yaad Aati Ha
Auto-Graph Talab karne Jab
Koi Haseena Ghar Aati Ha
Bari bari Aankhon se jab Wo
Dekh ke Muj ko Sharmati Ha
Mazi mein Kho Jata houn Main
Pehli Muhabbat Yaad Aati ha
Shaam Khizan Jab Tenha Tenha
Bagh mein Sair ko Jata houn
Kisi Udaas si Ladki ko Jab
Bench pe Tenha Pata houn
Jane Kyon Yaad Aa Jata ha
Aik Khizan ki Sham ka Manzar
Jab Ham Dono Juda Howe The
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|