Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Yad-e-maazi ko meri phir se hawa deta ha
Jo bi milta ha mere gham ko badha deta ha
Dil ki dehliz par aa kar shab-e-tenhai mein
Aysa lagta ha Koi ab bi sada deta ha
NieNd se jab khabi ho jati ha aankhin bhojal
Thapkiyan de ke muje koi sula deta ha
Muj ko maloom hi kab tha ke zamana aksar
Muskurane ki badi sakhat saza deta ha
Ek do pal ke liye bethna jab bi chaha
Koi saaya muje mehfil se utha deta ha
Mere mazi ki amanat ha ise rehne do
Un ka ehsas mere gham ko jala deta ha
Kat gayi omra magar aaj bi rone wala
Apne Aanso mere daman mein beha deta ha
Un ko pane ke liye arash ko chona chaha
Kis bulandi se magar koi ghira deta ha
Chalte chalte kahin lag na jaye thokar muj ko
Koi pathar meri raahon se hata deta ha
Ahdure jab khabi badhta ha andhera ghar mein
Koi chupke se chirag aa ke jala deta ha
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|