Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Yaar jo bi mila dil jala kar geya
Khak main meri hasti mila kar geya
Pyaas jis ki sada main bujhata raha
Zaher-e-katil muje wo pila kar geya
Naaz us ki wafa par muje tha magar
Teer wo bi jigar par chala kar geya
Doondta tha khabi jo muje har gali
Aankh wo aaj muj se bachaa kar geya
Mangta tha sehara jo har dum muj se
Bysahara muje wo bana kar geya
Neend aagosh main jis ki aane lagi
Mout ki neend muj ko sula kar geya
Aarzoo thi Ahdure kisi ki muje,
Khwab mere wohi tu mita kar geya
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|