Tanhai k lamhoon main kabhi yaad kar k dekh
Ankhoon se tere aansoo na chalak aaye to kehna
Chahat se b barh kar chaha hai tujhe
Pyar itna zindagi main kisi aur se mil jaye to kehna
Kertay hain martay waqt sabhi yaad-e-Elahi
Mere laboun pey tera naam na aaye to kehna
Qayamat k din b mere dil ko cheer ker dekh lena
Har tukray main teri tasveer nazar na aaye to kehna.....
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na